Wednesday, May 30, 2012

shuruaat

bohat aag hai chalo kahin barsaat karien
aaj abhi se chalo koi shuruat karien

darakhton mein phool kam aur katein hain zyada
bhavre bhi nahi karte ab phoolon ka iraada
jahan maina aur bulbul fir befikr chehchehayein
chalo aisa koi ek gulistaan aabaad karien

aaj abhi se chalo koi shuruaat karien

toofan mei ped se ped takraate hain jaise
ladte hain ab insaan se insaan bhi waise
nafrat badi hain inn galiyon mein azhar
chalo thodi si mohabbat ki baat karien

aaj abhi se chalo koi shuruaat karien

wo karib ke baagh se angoor ka guchhca churana
wo pakde jane pe mali ko angin bahane sunana
bohat zamana guzar gaya uss bachpan ko
chalo fir milke koi khurafaat karien

aaj abhi se chalo koi shuruaat karien

No comments:

Post a Comment